Wednesday, July 25, 2007

Khwaish

khwaish teri ab to ek ibaadat ho chali hai,
khwabon ko palko pe pighalne ki ab to aadat ho chali hai.
har shaam youn kshitij ko takti, bas ek hi intezaar mein dhali hai,
ki mit kar mil jaane ki tujhme ab to aadat ho chali hai.

tapti hui zameen par masoomiyat meri kuchh is kadar jali hai,
ki khud ban kar mit jaana ab meri fitrat ho chali hai.
yun hi nehi is kyun mein yeh umar ek muddat se jali hai,
shunya mein hi, par kehin, tu mujhe tanha mili hai.

by Chomsky AKA Amar Singh Chauhan

No comments: